Nanhi si chhoti si chidiya
Nanhi si choti si chidiya
Dur desh ki anhokhi chidiya
Komal se rui ke jaise
Safed safed se pankh the uske
Choti choti pyari si blub jaisi uski aankhe
Baithe baithe so jati wo
Subah hote hi udd jati wo
Raat ke jane kis pahar me
Phir ghar me dikh jati wo
Pyar se uske pass jati
Hatho se chuna chahti
Torch lagakar phir me usse
Bus apalak nihare jati
Kitni suder si chidiya
Roj mere ghar aati
Ghosla na tha tab koi uska
Mere ghar hi wo rahne aati
Chehre ko pankho me chupakar
Jane kaise so jati
Ek din raat ko maine
Sone ke thoda sa pahle
Chhua maine halke se
Aahat ya ahsaas shayad ho gya usse
Thoda sa mujse dur phir so gayi wo aise
Sochti ye akele me
Ghar banau payara se me
Chota sa pyara sa ghar
Rui bichakar phulo se sajakar
Rang biranga nanha sa ghar
Jhini si chadar ho ander
Barakha sardi garmi dhup se
Parkrti ke har kahar se
Bachakar rakh du ussme
Kahi na phir me jane dungi
Roj raat bathe karungi
Yahi sochte so gayi me
Phir subah ho gayi hai
Raat ab bus hone wali
Phir se wo hai aane wali
Kissa ho gya har din ka
Injaar rahta bus uska
Samay ka pahiya ghum gya
Uska chehra na dikha
Nain thak gaye raah takte
Rasta koi na dikhe
Kaise janu kab aayegi
Pal pal ho gya bhari
Shayad kal aa payegi
Mithi mithi yaado ke safar me
Akela chod gayi iss ghar me
Aahat hui na koi uski
Intjaar me palake bhigi
Comments
Post a Comment